na KHauf-e-barq na KHauf-e-sharar lage hai mujhe
KHud apne bagh ke phulon se Dar lage hai mujhe
ajib dard ka rishta hai sari duniya mein
kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe
main ek jam hun kis kis ke honT tak pahunchun
ghazab ki pyas liye har bashar lage hai mujhe
tarash leta hun us se bhi aaine 'manzur'
kisi ke hath ka patthar agar lage hai mujhe
Ghazal
Na KHauf-e-barq na KHauf-e-sharar lage hai mujhe
Malikzada Manzoor Ahmad