na kaho e'tibar hai kis ka
bewafai shiar hai kis ka
ai ajal sham-e-hijr aa pahunchi
ab tujhe intizar hai kis ka
ishq se main KHabar nahin ya rab
dagh-e-dil yaadgar hai kis ka
dil jo zalim nahin teri jagir
to ye ujDa dayar hai kis ka
mohtasib puchh mai-paraston se
nam aamarz-gar hai kis ka
bazm mein wo nahin uThate aankh
dekhna nagawar hai kis ka
pahne phirta hai matami poshak
aasman sogwar hai kis ka
chain se so raho gale lag kar
shauq be-iKHtiyar hai kis ka
aap sa sab ko wo samajhte hain
mo'tabar inkisar hai kis ka
yar ke bas mein hai ummid-e-visal
yar par iKHtiyar hai kis ka
aap 'bimar' hum hue ruswa
sar-nigun raazdar hai kis ka
Ghazal
Na kaho etibar hai kis ka
Sheikh Bimar Ali Bakhsh