na jaane rauzan-e-diwar kya jadu jagata hai
talattuf se sambhalta hai qadam ya Dagmagata hai
ye tamhid-e-nigah-e-shauq hai do-atisha ai dil
is aalam mein ek aalam aur aaina dikhata hai
kahan ka ishq lekin ye mujhe mahsus hota hai
ki mera hath dosh-e-naznin par thartharaata hai
kahan pahle tha ye mausam hai sab tarz-e-KHiram us ka
hawaon mein gulabi bagh mein KHushbu uData hai
mizajon ki ham-ahangi bhi aksar shaq hoti hai
ugalti hain mashinen aag suraj muskuraata hai
tuyur-e-zamzama-pardaz ki pahchan hoti hai
wo tair kya jo aawazon se aawazen milata hai
usi par jaan dete hain jise be-mehr kahte hain
jo hum ko bhul jata hai wo aksar yaad aata hai
Ghazal
Na jaane rauzan-e-diwar kya jadu jagata hai
Syed Amin Ashraf

