na jaane kyun sada hota hai ek sa anjam
hum ek si to kahani sada nahin kahte
jidhar pahunchna hai aaghaz bhi wahin se hua
safar samajhte hain is ko saza nahin kahte
naya shuur nae istiare lata hai
azal se log KHuda ko KHuda nahin kahte
jo git chunte hain KHamoshiyon ke sahra se
wo lab-kushaon ko raaz-ashna nahin kahte
faza ka lafz hai us ke liye alag maujud
jo ghar Thaharti hai us ko hawa nahin kahte
zamane bhar se ulajhte hain jis ki jaanib se
akele-pan mein use hum bhi kya nahin kahte
jo dekh lete hain chizon ke aar-par 'malal'
kisi bhi chiz ko itna bura nahin kahte
Ghazal
Na jaane kyun sada hota hai ek sa anjam
Sagheer Malal