na jaane kya hue atraf dekhne wale
tamam shahr ko shaffaf dekhne wale
giraft ka koi pahlu nazar nahin aata
malul hain mere ausaf dekhne wale
siwae rakh koi chiz bhi na hath aai
ki hum the warsa-e-aslaf dekhne wale
hamesha band hi rakhte hain zahiri aankhen
ye tirgi mein bahut saf dekhne wale
mohabbaton ka koi tajraba nahin rakhte
har ek sans ka israf dekhne wale
ab us ke baad hi manzar hai sang-bari ka
sambhal ke barish-e-altaf dekhne wale
ganwae baiThe hain aankhon ki raushni 'shahid'
jahan-panah ka insaf dekhne wale
Ghazal
Na jaane kya hue atraf dekhne wale
Shahid Meer