اردو हिंदी
Na jaane kaun si saat mein ho gaya ghaeb | Shaahi Shayari
na jaane kaun si saat mein ho gaya ghaeb

Ghazal

Na jaane kaun si saat mein ho gaya ghaeb

Nadeem Goyai

;

na jaane kaun si saat mein ho gaya ghaeb
jo andarun TaTola to lapata ghaeb

kidhar ko jaun hawaon ki qaid se chhuT kar
zamin tang hui aur rasta ghaeb

wo ek abr ki manind mere upar se
hawa ke sath uDa aur ho gaya ghaeb

kisi bhi taur barabar na ho saki taqsim
jo ek samne aaya to dusra ghaeb