na jaane kab ki dabi talKHiyan nikal aain
zara si baat thi aur barchhiyan nikal aain
hua ye hum pe andheron ki sazishon ka asar
hamare zehn mein bhi khiDkiyan nikal aain
mujhe nawaz di maula ne phul si beTi
mere hisab mein kuchh nekiyan nikal aain
wo peD jis pe qaza ban ke bijliyan TuTin
suna hai us pe hari pattiyan nikal aain
badalti rut mein ye kam-zarfiyon ka aalam hai
bilon se pankh liye chyunTiyan nikal aain
KHuda ke waste ab to safar tamam karo
ki ab qafas se bhi to ungliyan nikal aain
ye moajiza hi to hai ai 'nafas' ki tufan mein
samundaron se sabhi kashtiyan nikal aain

Ghazal
Na jaane kab ki dabi talKHiyan nikal aain
Nafas Ambalvi