na ibtida-e-junun hai na intiha-e-junun
bas ek fitna hai kahiye jise ada-e-junun
wo gul ki tarah se hansta hai meri haalat par
irada ab hai koi aur gul khilae junun
kamal ye hai KHirad bhi talash karti hai
bara-e-sajda-tazim naqsh-e-pa-e-junun
ye apni apni tabiat hai kya kiya jae
tumhein rulae junun aur mujhe hansae junun
wajud-e-ashiq-o-mashuq se jahan raushan
wo nur-e-wasl hai jis se ki jagmagae junun
asar ye hota hai suraj bhi jag uTTha hai
ki chheD karti hai ghunchon se jab saba-e-junun
wo mujh se martaba-e-ishq mein buland rahe
KHuda kare wo chala jae mawara-e-junun
jo tujh ko chhuta hai anmol ho hi jata hai
tere wajud mein hai yar kimiya-e-junun
'suhail' us ko bhi hai e'tiraf-e-jazba-e-shauq
wo ban gaya hai mubarak ho dil-ruba-e-junun

Ghazal
Na ibtida-e-junun hai na intiha-e-junun
Suhail Kakorvi