اردو हिंदी
Na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega | Shaahi Shayari
na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega

Ghazal

Na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega

Rahat Indori

;

na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega
hamare panw ka kanTa hamin se niklega

main jaanta tha ki zahrila sanp ban ban kar
tera KHulus meri aastin se niklega

isi gali mein wo bhuka faqir rahta tha
talash kije KHazana yahin se niklega

buzurg kahte the ek waqt aaega jis din
jahan pe Dubega suraj wahin se niklega

guzishta sal ke zaKHmo hare-bhare rahna
julus ab ke baras bhi yahin se niklega