na hai us ko mujh se ghaflat na wo zimmedar kam hai
pa alag hai us ki fitrat wo wafa-shiar kam hai
meri hasraten miTengi mere KHwab honge pure
mujhe apne is yaqin par zara e'tibar kam hai
na baDhae aur duri koi aane wala mausam
chalo fasle miTa len ki abhi darar kam hai
ye tum hi pe munhasir hai ki tum aao ya na aao
main bhala ye kaise kah dun mujhe intizar kam hai
yahi chahte the hum bhi ki na raaz-e-dil ayan ho
magar apne aansuon par hamein iKHtiyar kam hai
wo uTha tha ek tufan jo macha gaya tabahi
abhi aandhiyan thami hain to abhi ghubar kam hai
kahin kho gae tasawwur jo bikhar gaya taKHayyul
to 'shifa' ye kaise kah de ki wo be-qarar kam hai

Ghazal
Na hai usko mujhse ghaflat na wo zimmedar kam hai
Shifa Kajgavnwi