na dil se aah na lab se sada nikalti hai
magar ye baat baDi dur ja nikalti hai
sitam to ye hai ki ahd-e-sitam ke jate hi
tamam KHalq meri ham-nawa nikalti hai
visal-o-hijr ki hasrat mein ju-e-kam-maya
kabhi kabhi kisi sahra mein ja nikalti hai
main kya karun mere qatil na chahne par bhi
tere liye mere dil se dua nikalti hai
wo zindagi ho ki duniya 'faraaz' kya kije
ki jis se ishq karo bewafa nikalti hai
Ghazal
Na dil se aah na lab se sada nikalti hai
Ahmad Faraz