na de saqi mujhe kuchh gham nahin hai
ye kulhaD koi jam-e-jam nahin hai
wo ru-e-KHashmgin kuchh kam nahin hai
na ho gar hath mein ballam nahin hai
bas ek bahr-e-bani-adam nahin hai
jahan mein warna gehun kam nahin hai
naqab ulTi hai ye kah kar kisi ne
ki ab to koi na-mahram nahin hai
hazaron chahne wale hain un ke
kam un ki aaj kal income nahin hai
jasamat kah rahi hai ye kisi ki
koi shai aur juz balgham nahin hai
mudawa kya ho hirs-e-rahbar ka
kahin is zaKHm ka marham nahin hai
bane to saikDon aain lekin
kisi aain mein kuchh dam nahin hai
kahan rahbar mein jauhar rahbari ke
ki pani hi to hai zamzam nahin hai
hamari juraton ki dad deta
magar ab kya karen rustam nahin hai
adaen kuchh to un mein aaj ki hain
magar pura abhi koram nahin hai
likha hai bazm-e-ishrat mein jo har-su
nawed-e-gham hai wo welcome nahin hai
siwae makr-o-kaid o hirs o fitrat
mohabbat ka yahan system nahin hai
mohabbat mein tasanno ho to samjho
wo launDi hai koi begam nahin hai
jise samjhi hai sada-lauh duniya
hai behad kaiyan budam nahin hai
nazar aate hain jo qatre gulon par
kisi ki ral hai shabnam nahin hai
zamin o aasman larzan hain jis se
mere nale hain atom-bomb nahin hai
nazar aata nahin wo ru-e-rangin
kahin bazar mein shaljam nahin hai
kahan aurat nahin hai sar-barahna
kahan ab parde ka matam nahin hai
fareb-e-hazrat-e-waiz na puchho
ibarat saf hai mubham nahin hai
chura len jis ko duzdida nigahen
ye dil wo dilruba KHanam nahin hai

Ghazal
Na de saqi mujhe kuchh gham nahin hai
Shauq Bahraichi