na de jo dil hi duhai to koi baat nahin
ye chaar din ki KHudai to koi baat nahin
jo mangna hai tujhe sirf ek dar se mang
ye dar-ba-dar ki gadai to koi baat nahin
agarche KHwahish-e-manzil junun ke naKHun le
KHirad ki uqda-kushai to koi baat nahin
maza to jab hai bujhe tishnagi-e-KHar-e-alam
junun-e-abla-pai to koi baat nahin
KHud apne dil ko bana le tu aastan-e-wafa
haram ki nasiya-sai to koi baat nahin
nikal gai thi mere munh se dil ki baat jo kal
hui hai aaj parai to koi baat nahin
mai-e-suKHan se na pighle jo aabgina-e-dil
to 'faKHr' shoala-nawai to koi baat nahin

Ghazal
Na de jo dil hi duhai to koi baat nahin
Iftikhar Ahmad Fakhr