na darmiyan na kahin ibtida mein aaya hai
badal ke bhes meri intiha mein aaya hai
usi ke rup ka charcha hai ab fazaon mein
hawa ke ruKH ko palaT kar hawa mein aaya hai
kabhi jo tez hui lau to jagmaga uTTha
barahna tha jo kabhi ab qaba mein aaya hai
mujhe hai phul ki patti sa ab bikhar jaana
wo chhup-chhupa ke meri hi rida mein aaya hai
asir-e-zulf ko shayad yahin rihai hai
pukarta hun jise wo sada mein aaya hai
nigal gai hai tasawwur ki aanch aanch ise
koi wajud kisi saneha mein aaya hai
main chheDta hun samundar ki dhun mein naghmon ko
wahi jo rag dil-e-mutriba mein aaya hai
usi ke sher sabhi aur usi ke afsane
usi ki pyas ka baadal ghaTa mein aaya hai
Ghazal
Na darmiyan na kahin ibtida mein aaya hai
Vishal Khullar