na bulwaya na aae roz wada kar ke din kaTe
baDe wo ho ki tum ne achchha achchha kar ke din kaTe
akele kya tumhin ne saKHtiyan jhelin judai ki
nahin hum ne bhi patthar ka kaleja kar ke din kaTe
bata mujh ko tariqa ai shab-e-gham sal kaTne ka
koi bara mahine tis din kya kar ke din kaTe
jise apna samajhte the wahi dil ho gaya un ka
koi duniya mein ab kis ka bharosa kar ke din kaTe
qaza bhi aa gai lekin na aana tha na aae wo
ye main ne umr-bhar kis ki tamanna kar ke din kaTe
tumhaara kya khule bandon rahe chahe jise dekha
kamal us ne kiya 'muztar' ki parda kar ke din kaTe

Ghazal
Na bulwaya na aae roz wada kar ke din kaTe
Muztar Khairabadi