na bachpan mein kaho hum ko kaDi baat
na khulwao ki chhoTa munh baDi baat
suno to gauhar-e-dandan ki tarif
abhi ho jae moti ki laDi baat
baDe andher ki tazin hai aaj
na hone degi missi ki dhaDi baat
jahan aghyar un ke pas baiThe
wahin bas ho gai koi ghaDi baat
payam-e-wasl par wo ho gae tursh
ghazab aaya khaTai mein paDi baat
hum un se aaj ka shikwa karenge
ukhaDenge wo barson ki gaDi baat
tabiat un ki hai kuchh ukhDi ukhDi
kisi ne phir wahan meri juDi baat
ye kis mizhgan ki barchhi ka tha mazkur
ani ho kar kaleje mein aDi baat
'saKHi' wo yun to bolenge na hum se
kabhi ho jaegi dhoke-dhaDi baat
Ghazal
Na bachpan mein kaho hum ko kaDi baat
Sakhi Lakhnvi