na apne bas mein hai rona na hae hans dena
koi rulae to rona hansae hans dena
wo baaton baaton mein bhar aana apni aankhon ka
wo us ka dekh ke surat ko hae hans dena
kisi ke zulm hain kuchh aise be-mahal hum par
ki ji mein aata hai rone ki jae hans dena
wo KHud hansae to kam-baKHt dil zidile dil
ye waza-dari hai kyun hae hae hans dena
udul-e-hukmi-e-dard-e-jigar ki ab ai chashm
jo lakh bar wo uTh kar rulae hans dena
koi jo tujh pe hanse barq-pash aalam-soz
to phir har ek pe tu bhul jae hans dena
wo hum se puchhte hain tum hamare aashiq ho
jawab kya hai ab us ke siwae hans dena
safi' kahan ki shikayat kahan ka gham-ghussa
kisi ka ain laDai mein hae hans dena

Ghazal
Na apne bas mein hai rona na hae hans dena
Safi Aurangabadi