اردو हिंदी
Na apna baqi ye tan rahega na tan mein tab o tawan rahegi | Shaahi Shayari
na apna baqi ye tan rahega na tan mein tab o tawan rahegi

Ghazal

Na apna baqi ye tan rahega na tan mein tab o tawan rahegi

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

;

na apna baqi ye tan rahega na tan mein tab o tawan rahegi
agar judai mein jaan rahegi tumhin batao kahan rahegi

mizha ke tiron se chhan dil ko jo chhanni ho nigah ko gahri
khinchi hui dil se kab talak yun teri bhawon ki kaman rahegi

KHuda ne munh mein zaban di hai to shukr ye hai ki munh se bolo
ki kuchh dinon mein na munh rahega na munh mein chalti zaban rahegi

bahaar ke taKHt-o-taj par bhi gulon ko rote hi hum ne dekha
ki gaD kar KHar-o-KHas ka jhanDa chaman mein ek din KHizan rahegi

dikhaega apna jab wo qamat machegi yan tarfa ek qayamat
na waizon mein ye zikr hoga na masjidon mein azan rahegi

bajega kuchon mein yunhi ghanTa azan yunhi hogi masjidon mein
na jab talak un ko tu milega tamam aah-o-fughan rahegi

na denge jab tak nigah ko dil hum qarar hasil na hoga dil ko
kabhi na hum sans le sakenge uDi hui ek sinan rahegi

zaban pe 'shahbaz' ki hain jari mudam shirin-labon ki baaten
KHuda ne chaha to nok-e-KHama hamesha ratb-ul-lisan rahegi