na ab wo KHush-nazari hai na KHush-KHisali hai
ye kya hua mujhe ye waza kyun bana li hai
ye haal hai mere diwar-o-dar ki wahshat ka
ki mere hote hue bhi makan KHali hai
dam-e-nazara meri hairaton pe ghaur na kar
ki meri aankh azal yunhi sawali hai
mere wajud ko jis ne jala ke rakh kiya
wo aag ab tere daman tak aane wali hai
guzarti shab ka har ek lamha kah gaya mujh se
sahar ke baad bhi ek raat aane wali hai
musafiran-e-rah-e-shauq thak gae bhi to kya
jahan ruke wahin basti nai basa li hai
Ghazal
Na ab wo KHush-nazari hai na KHush-KHisali hai
Mushfiq Khwaja