na aankhen hi jhapakta hai na koi baat karta hai
bas ek aansu ke dane par basar-auqat karta hai
shajar ke tan mein gahra zaKHm hai koi wagarna yun
zamin par sabz patton ki koi barsat karta hai
wo jab chahe bujha deta hai shamen bhi sitare bhi
nagar sara supurd-e-panja-e-zulmat karta hai
wo apni baat se sad-chaak karta hai mera sina
phir apni baat ki ta-der tawilat karta hai
wo apni umr ko pahle piro leta hai Dori mein
phir us ke baad ginti umr ki din raat karta hai

Ghazal
Na aankhen hi jhapakta hai na koi baat karta hai
Wazir Agha