muztarib sa rahta hai mujh se baat karte waqt
pher kar kalai ko bar bar dekhe waqt
barha ye socha hai ghar se aaj chalte waqt
hadisa na ho jae rah se guzarte waqt
koi bhi nahin pahuncha aag se bachane ko
main tha aur tanhai apne ghar mein jalte waqt
is qadar andhera tha is qadar tha sannaTa
chandni bhi Darti thi ganw mein bikharte waqt
main to KHair nadim tha is liye bhi chup chup tha
wo bhi kuchh nahin bola rasta badalte waqt
wo visal do pal ka bhulta nahin shahid
main ne us ko chuma tha siDhiyan utarte waqt

Ghazal
Muztarib sa rahta hai mujhse baat karte waqt
Shahid Fareed