اردو हिंदी
MuTThiyon mein ret bhar li hai bataun kis tarah | Shaahi Shayari
muTThiyon mein ret bhar li hai bataun kis tarah

Ghazal

MuTThiyon mein ret bhar li hai bataun kis tarah

Mahtab Haider Naqvi

;

muTThiyon mein ret bhar li hai bataun kis tarah
raat din aab-e-rawan se munh chhupaun kis tarah

raqs karte hain bagule mere tere darmiyan
ret par dariyaon ka naqsha banaun kis tarah

wo udhar us par ke manzar bulate hain mujhe
raushni ke shahr se pichha chhuDaun kis tarah

yaad sab kuchh hai magar kuchh bhi nazar aata nahin
putliyon mein tere chehre ko chhupaun kis tarah

jab yahan is shahr mein sab kuchh KHizan-asar hai
be-dar-o-diwar ka ek ghar banaun kis tarah