muTThi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain
juda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjiren hain
aaj aur kal ki baat nahin hai sadiyon ki tariKH yahi hai
har aangan mein KHwab hain lekin chand gharon mein tabiren hain
jab bhi koi taKHt saja hai mera tera KHun baha hai
darbaron ki shan-o-shaukat maidanon ki shamshiren hain
har jangal ki ek kahani wo hi bhenT wahi qurbani
gungi bahri sari bheDen charwahon ki jagiren hain
Ghazal
MuTThi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain
Nida Fazli