mutalea ki hawas hai kitab de jao
hamare ahd ko saleh nisab de jao
shahpar-e-ilm ki jholi kamal se KHali
KHuda ke waste koi KHitab de jao
kabhi to hurmat-e-sairabi-e-nazar khul jae
samundaron ko tilism-e-saraab de jao
haqiqaton ko tamasha nahin banaunga
munafiqat ki hawa hai naqab de jao
tumhaari aaKHiri ummid ban ke lauTunga
wida ki ghaDiyon ka hisab de jao
qadim raushniyon se unhen shikayat hai
to shapparon ko naya aaftab de jao
koi to mashghala-e-na-murad jari ho
zaban ko badriqa-e-inqilab de jao
isi mein KHanda-labi shan-e-be-niyazi hai
har ek tir ka sakit jawab de jao
safar-e-nasib hai 'rahi' misal-e-baad-e-rawan
jahat-e-shash ki zamam o rikab de jao
Ghazal
Mutalea ki hawas hai kitab de jao
Rahi Fidai