اردو हिंदी
Muskuraunga gungunaunga | Shaahi Shayari
muskuraunga gungunaunga

Ghazal

Muskuraunga gungunaunga

Ramesh Kanwal

;

muskuraunga gungunaunga
main tera hausla baDhaunga

ruThne ki ada nirali hai
jab tu ruThega, main manaunga

qurbaton ke charagh gul kar ke
faslon ke diye jalaunga

jugnuon sa libas pahnunga
teri aankhon mein jhilmilaunga

mehrban hoga jab wo jaan-e-'kanwal'
us ki gustaKHiyan ginaunga