اردو हिंदी
Muskurane ka yahi anjam hai | Shaahi Shayari
muskurane ka yahi anjam hai

Ghazal

Muskurane ka yahi anjam hai

Jatinder Vir Yakhmi u0027jayaveeru0027

;

muskurane ka yahi anjam hai
sab ke honTon par tera hi nam hai

thi kashish ki aap mein hi kuchh kami
ghair pe kyun be-wajah ilzam hai

KHat ka mazmun hai mere hi waste
go lifafe par kisi ka nam hai

KHwab mein bhi ye safar jari rahe
zindagi aawargi ka nam hai

log kyun khul ke kabhi milte nahin
is shahar mein har koi bad-nam hai

rutbe-dari ki lagi ek hoD hai
qabiliyyat bas barae nam hai

mai-kade se dur hi rahta hun main
tishnagi hi bas mera inam hai

jam ho mahfil, na ho saqi koi
hum ko apni be-KHudi se kaam hai