اردو हिंदी
Muskura doge to ye raat sanwar jaegi | Shaahi Shayari
muskura doge to ye raat sanwar jaegi

Ghazal

Muskura doge to ye raat sanwar jaegi

Hans Raj Sachdev u0027hazii.nu0027

;

muskura doge to ye raat sanwar jaegi
hans jo doge to faza aur nikhar jaegi

apni manzil pe pahunch jaegi betab nazar
apne markaz pe na pahunchi to kidhar jaegi

kash us husn-e-KHud-ara se koi ja ke kahe
zulf ko lakh sanware ye bikhar jaegi

muntazir sham se un ka hun magar jaanta hun
aaj ki raat bhi aankhon mein guzar jaegi

aap bhi zulf-e-pareshan ko haTa len ruKH se
mere chhune se to nagin ye biphar jaegi

haal-e-dil kyun na 'hazin' aaj gulon se kah dun
nikhat-e-gul bhi mere dost ke ghar jaegi