اردو हिंदी
Musibaten to uTha kar baDi baDi bhule | Shaahi Shayari
musibaten to uTha kar baDi baDi bhule

Ghazal

Musibaten to uTha kar baDi baDi bhule

Hafeez Jaunpuri

;

musibaten to uTha kar baDi baDi bhule
magar firaq ki iza na ek ghaDi bhule

na hogi us lab-e-rangin ki aab-o-tab nasib
na apne rang pe phulon ki pankhuDi bhule

kisi ne pyar se bahen gale mein Dal jo din
tamam hijr ke sadme hum us ghaDi bhule

abhi wo yaad hain saman hamein asiri ke
abhi na tauq na beDi na hathkaDi bhule

tumhein jo dekh liya gham ghalat hua apna
tumhein jo pa gae sab ranj us ghaDi bhule

buri bala hai ye chashm-e-siyah ki gardish
use jo dekh le aahu to chaukDi bhule

giri thi shaiKH ki tasbih mai-kade mein raat
KHabar nahin ki kahan nashshe mein chhaDi bhule

'hafiz' wo dam-e-ruKHsat ye kahte jate hain
ki meri yaad na dil se koi ghaDi bhule