اردو हिंदी
Mushtaq hain ushshaq teri banki ada ke | Shaahi Shayari
mushtaq hain ushshaq teri banki ada ke

Ghazal

Mushtaq hain ushshaq teri banki ada ke

Wali Mohammad Wali

;

mushtaq hain ushshaq teri banki ada ke
zaKHmi hain mohibban teri shamshir-e-jafa ke

har pech mein chire ke tere lipTe hain aashiq
aalam ke dilan band hain tujh band-e-qaba ke

larzan hai tere dast age panja-e-KHurshid
tujh husn age mat malaek hain sama ke

tujh zulf ke halqe mein hai dil be-sar o be-pa
Tuk mehr karo haal upar be-sar-o-pa ke

tanha na 'wali' jag munin likhta hai tere wasf
daftar likhe aalam ne teri madh-o-sana ke