اردو हिंदी
Mushtaq ba-dastur zamana hai tumhaara | Shaahi Shayari
mushtaq ba-dastur zamana hai tumhaara

Ghazal

Mushtaq ba-dastur zamana hai tumhaara

Anwar Shuoor

;

mushtaq ba-dastur zamana hai tumhaara
aane se baDa khel na aana hai tumhaara

laila ki hikayat bhi hikayat hai tumhaari
shirin ka fasana bhi fasana hai tumhaara

is dil ki KHabar tum se ziyaada kise hogi
bartaw magar be-KHabarana hai tumhaara

tum husn-e-mujassam ho bila shirkat-e-ghaire
na-qabil-e-taqsim KHazana hai tumhaara

dil mein koi aa jae to wapas nahin jata
dushwar yahan se kahin jaana hai tumhaara

tum se mutaassir hain nae hon ki purane
uslub naya hai ki purana hai tumhaara

kyun raushni-o-rang se mamur na ho dil
sunsan sahi aaina-KHana hai tumhaara

samjhaya bujhaya na karo dil ko 'shuur' ab
kam-baKHt ne kahna kabhi mana hai tumhaara