mushkil ye imtiyaz teri rahguzar mein hai
manzil safar mein hai ki musafir safar mein hai
hun muztarib magar teri surat nazar mein hai
pahlu bhi ek sukun ka dard-e-jigar mein hai
thoDi si KHak main ne uTha li zamin se
ab sari zindagi ka KHulasa nazar mein hai
ai aaftab-e-subh idhar bhi koi kiran
muddat se ek gharib umid-e-sahar mein hai
puchho na ek ek se mere junun ka raaz
mere junun ka raaz tumhaari nazar mein hai
kabe ko manta hun magar is yaqin ke sath
kaba bhi ek maqam teri rahguzar mein hai
mana ki sab ne aap ko dekha hai shauq se
pahchanne KHulus-e-nazar kis nazar mein hai
fasl-e-bahaar aai hai kaise yaqin karen
'shaarib' hai jis ka nam wo diwana ghar mein hai

Ghazal
Mushkil ye imtiyaz teri rahguzar mein hai
Sharib Lakhnavi