musalsal hans raha hun ga raha hun
teri yaadon se dil bahla raha hun
teri yaadon ki belen jal gain sab
main phulon ki tarah murjha raha hun
ai meri wahshato sahra ki jaanib
mujhe aawaz do main aa raha hun
kinare meri jaanib baDh rahe hain
magar main hun ki Duba ja raha hun
yahan jhuTon ke tamghe mil rahe hain
main sachcha hun to parkha ja raha hun
Ghazal
Musalsal hans raha hun ga raha hun
Azm Shakri

