اردو हिंदी
Musalman dekh kar ab dil ki hairani nahin jati | Shaahi Shayari
musalman dekh kar ab dil ki hairani nahin jati

Ghazal

Musalman dekh kar ab dil ki hairani nahin jati

Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

;

musalman dekh kar ab dil ki hairani nahin jati
kuja sirat ki surat tak bhi pahchani nahin jati

hadis-e-gham sunane se pareshani nahin jati
magar kuchh log hain jin ki ye nadani nahin jati

janab-e-shaiKH bol uTThen ba-har mabhas ba-har mauqa
ki un ki KHu-e-pindar-e-hama-dani nahin jati

suna sail-e-tamanna mein hazaron shahr-e-dil Dube
magar phir bhi tamannaon ki tughyani nahin jati

sajaya hum ne taswir-e-butan se KHana-e-dil ko
magar bain hama us ghar ki virani nahin jati

mohammad-mustafa ki shan-e-rifat koi kya jaane
jahan wo hain wahan tak fikr-e-insani nahin jati

kiya logon ne gard-alud kitna chehra-e-mazi
'nazar' hairat hai phir bhi is ki tabani nahin jati