musahibat ka koi silsila nahin hai kya
kisi bhi shaKHs se ab rabta nahin hai kya
hazar logon se puchha sabhi hain na-waqif
yahan bhi tujh ko koi jaanta nahin hai kya
tamam rishte faramosh kar diye tu ne
talluqat se ab faeda nahin hai kya
amir-e-shahr se hai maslahat baja lekin
hai baat sach to kaho hausla nahin hai kya
zaban main ne jo kholi to sab hain shashdar kyun
tere KHilaf koi bolta nahin hai kya
muamalat mein sab taq par rakhenge usul
KHuda ke bande tujhe kuchh pata nahin hai kya
Ghazal
Musahibat ka koi silsila nahin hai kya
Rashid Anwar Rashid