musafiron mein abhi talKHiyan purani hain
safar naya hai magar kashtiyan purani hain
ye kah ke us ne shajar ko tane se kaT diya
ki is daraKHt mein kuchh Tahniyan purani hain
hum is liye bhi nae ham-safar talash karen
hamare hath mein baisakhiyan purani hain
ajib soch hai is shahr ke makinon ki
makan nae hain magar khiDkiyan purani hain
palaT ke ganw mein main is liye nahin aaya
mere badan pe abhi dhajjiyan purani hain
safar-pasand tabiat ko KHauf-e-sahra kya
'saba' hawa ki wahi siTiyan purani hain
Ghazal
Musafiron mein abhi talKHiyan purani hain
Sibt Ali Saba