musafiron ke liye sazgar thoDi hai
shajar babul ka hai saya-dar thoDi hai
ye khinch-tan to hissa hai dosti ka miyan
talluqat mein lekin darar thoDi hai
use bhi zid hai ki shadi karegi to mujh se
junun mere hi sar pe sawar thoDi hai
kabhi-kabhaar sahi milne aa to sakte ho
mera makan samundar ke par thoDi hai
mere KHayal meri zindagi ka hissa hain
meri ghazal pe kisi ka udhaar thoDi hai
mushaere mein ghazal bhi na paDh sakun ja kar
buKHar hai mujhe itna buKHar thoDi hai

Ghazal
Musafiron ke liye sazgar thoDi hai
Vikas Sharma Raaz