اردو हिंदी
Muqarrar kuchh na kuchh isMein raqibon ki bhi sazish hai | Shaahi Shayari
muqarrar kuchh na kuchh isMein raqibon ki bhi sazish hai

Ghazal

Muqarrar kuchh na kuchh isMein raqibon ki bhi sazish hai

Hasrat Mohani

;

muqarrar kuchh na kuchh is mein raqibon ki bhi sazish hai
wo be-parwa ilahi mujh pe kyun garm-e-nawazish hai

pa-e-mashq-e-taghaful aap ne maKHsus Thahraya
hamein ye baat bhi min-jumala-e-asbab nazish hai

miTa de KHud hamein gar shikwa-e-gham miT nahin sakta
jafa-e-yar se ye aaKHiri apni guzarish hai

kahan mumkin kisi ko baryabi un ki mahfil mein
na itminan-e-koshish hai na ummid-e-sifarish hai

nihan hai dil paziri jis ke har har lafz-e-shirin mein
ye kis jaan-e-wafa ke hath ki rangin nigarish hai

kiya tha ek din dil ne jo dawa-e-shakebai
so ab tak un ke naz-e-dilbari ko hum se kawish hai

hujum-e-yas ne be-dil kiya aisa ki 'hasrat' ko
tere aane ki ab ummid baqi hai na KHwahish hai