اردو हिंदी
Muntashir zehn ki sochon ko ikaTTha kar do | Shaahi Shayari
muntashir zehn ki sochon ko ikaTTha kar do

Ghazal

Muntashir zehn ki sochon ko ikaTTha kar do

Qaisar-ul-Jafri

;

muntashir zehn ki sochon ko ikaTTha kar do
tum jo aa jao to shayad mujhe tanha kar do

dar-o-diwar pe paDhta rahun nauha kal ka
is ujale se to behtar hai andhera kar do

ai mere gham ki chaTano kabhi mil kar TuTo
is qadar zor se ciKHo mujhe bahra kar do

ja rahe ho to mere KHwab bhi lete jao
dil ujaDa hai to aankhon ko bhi sahra kar do

kuchh nahin hai to ye pindar-e-junun hai kisar
tum ko mil jae gireban to tamasha kar do