اردو हिंदी
Muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai | Shaahi Shayari
muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai

Ghazal

Muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai

Hakeem Manzoor

;

muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai
muntazir ye aaina kya jaane kis manzar ka hai

reza reza raat bhar jo KHauf se hota raha
din ko sanson par abhi tak bojh us patthar ka hai

wo kisi farhang ka qaidi na ab tak ho saka
wo shikasta lafz meri ruh ke andar ka hai

har koi hone laga hai din ko KHwabon ka asir
KHauf har ek aankh mein ek dur ke manzar ka hai

dekh kar bhi kya kare 'manzur' us ka karb hai
wo to juz aankhon ke sar se panw tak marmar ka hai