munsif-e-waqt se begana guzarna hoga
faisla apna hamein aap hi karna hoga
zaKHm-e-ehsas kabhi chain na lene dega
sar-e-maidan-e-tamanna hamein marna hoga
tujhe chhu kar bhi tujhe pa na sakenge to hamein
surat-e-dard tere dil mein utarna hoga
jaane le aai kahan tezi-e-raftar hamein
ki Thahar jaen to sadiyon ka Thaharna hoga
asr-e-hazir mein hai jina hi jihad-e-akbar
jis ki KHatir hamein har shai se guzarna hoga
hashr se kam na kisi din ke jhamele honge
ek qayamat hamein har shab ka guzarna hoga
roen kya Dubte suraj ke liye hum 'ruhi'
ki nai shan se kal us ko ubharna hoga
Ghazal
Munsif-e-waqt se begana guzarna hoga
Roohi Kanjahi

