munh taka hi kare hai jis tis ka 
hairati hai ye aaina kis ka 
sham se kuchh bujha sa rahta hun 
dil hua hai charagh muflis ka 
the bure mughbachon ke tewar lek 
shaiKH mai-KHane se bhala khiska 
dagh aankhon se khil rahe hain sab 
hath dasta hua hai nargis ka 
bahr kam-zarf hai basan-e-habab 
kasa-lais ab hua hai tu jis ka 
faiz ai abr chashm-e-tar se uTha 
aaj daman wasia hai is ka 
tab kis ko jo haal-e-'mir' sune 
haal hi aur kuchh hai majlis ka
        Ghazal
Munh taka hi kare hai jis tis ka
Mir Taqi Mir

