munh se parda na uThe sahab-e-man yaad rahe
phir qayamat hi ayan hai ye suKHan yaad rahe
chhoDo itni na zaban ghuncha-dahan yaad rahe
phir hamare bhi dahan hai ye suKHan yaad rahe
kucha-gardon mein nahin hum jo ye kucha chhoDen
KHak karna hai hamein yan hai badan yaad rahe
ahd aane ka kiya hai to girah band mein de
is se shayad tujhe ai ahd-shikan yaad rahe
aap ke kuche ko hum kaba-e-maqsud samajh
bhul baiThe hain sab aaram-e-watan yaad rahe
harf uTh jaane ka kah baiThe ho ab to lekin
phir na kahiyega kabhi qibla-e-man yaad rahe
sau chaman ek faqat mukhDe mein us ke hain 'nazir'
jab ye surat ho to phir kis ko chaman yaad rahe

Ghazal
Munh se parda na uThe sahab-e-man yaad rahe
Nazeer Akbarabadi