munh ki baat sune har koi dil ke dard ko jaane kaun
aawazon ke bazaron mein KHamoshi pahchane kaun
sadiyon sadiyon wahi tamasha rasta rasta lambi khoj
lekin jab hum mil jate hain kho jata hai jaane kaun
wo meri parchhain hai ya main us ka aaina hun
mere hi ghar mein rahta hai mujh jaisa hi jaane kaun
jaane kya kya bol raha tha sarhad pyar kitaben KHun
kal meri nindon mein chhup kar jag raha tha jaane kaun
kiran kiran alsata suraj palak palak khulti ninden
dhime dhime bikhar raha hai zarra zarra jaane kaun
Ghazal
Munh ki baat sune har koi dil ke dard ko jaane kaun
Nida Fazli