اردو हिंदी
Munafa mushtarak hai aur KHasare ek jaise hain | Shaahi Shayari
munafa mushtarak hai aur KHasare ek jaise hain

Ghazal

Munafa mushtarak hai aur KHasare ek jaise hain

Sarfaraz Shahid

;

munafa mushtarak hai aur KHasare ek jaise hain
ki hum donon ki qismat ke sitare ek jaise hain

main ek chhoTa sa afsar hun wo ek moTa sa mil-owner
magar donon ke income goshware ek jaise hain

ise zoaf-e-basirat use zoaf-e-basarat hai
hamare dida-war sare ke sare ek jaise hain

mutton aur dal ki qimat barabar ho gai jab se
yaqin aaya ki donon mein harare ek jaise hain

jahan bhar ke siyasi danglon mein hum ne dekha hai
anuki ek se ek uncha hai jhaare ek jaise hain

wo thana ho shifa-KHana ho ya phir Dak-KHana ho
rifah-e-am ke sare idare ek jaise hain

surur-e-jaan-faza deti hai aaghosh-e-watan sab ko
ki jaise bhi hon bachche man ko pyare ek jaise hain

bala ka farq hai london ki gori aur kali mein
magar donon ki aankhon mein ishaare ek jaise hain

har ek begam agarche munfarid hai apni saj-dhaj mein
magar jitne bhi shauhar hain bichaare ek jaise hain

koi KHush-zauq hi 'shahid' ye nukta jaan sakta hai
ki mere sher aur naKHre tumhaare ek jaise hain

guman hota hai 'shahid' radio par sun ke mausiqi
ki pakke rag aur namkin gharare ek jaise hain