muKHalif jab se aaina hua hai
mera chehra hi kuchh badla hua hai
use bhule hue arsa hua hai
ye sach hai ya mujhe dhoka hua hai
koi khela kisi ne toD Dala
ye dil ke sath bhi kya kya hua hai
kinare lag gaya gustaKH tinka
samundar fikr mein Duba hua hai
simaTne ka bhi hai ab hosh kis ko
abhi raKHt-e-safar bikhra hua hai
tumhaare faisle bhi tai-shuda the
hamara jurm bhi socha hua hai
mujhe ras aa gai hai ajnabiyyat
har ek rishta mera parkha hua hai
nazar par dhul ki parten jami hain
tumhaara aks bhi dhundla hua hai
chalo 'salim' kahin gumrah ho len
yahan har rasta bhaTka hua hai
Ghazal
MuKhaalif jab se aaina hua hai
Salim Shuja Ansari