اردو हिंदी
Mujhe zindagi se KHiraj hi nahin mil raha | Shaahi Shayari
mujhe zindagi se KHiraj hi nahin mil raha

Ghazal

Mujhe zindagi se KHiraj hi nahin mil raha

Tariq Naeem

;

mujhe zindagi se KHiraj hi nahin mil raha
abhi us se mera mizaj hi nahin mil raha

main bana raha hun KHayal-o-KHwab ki bandishen
meri bandishon ko riwaj hi nahin mil raha

mujhe saltanat to mili hui hai jamal ki
kisi ishq ka koi taj hi nahin mil raha

mujhe milne aaega sham ko mera ham-suKHan
mera aaina mujhe aaj hi nahin mil raha

mere chaaragar ko paDi hui hai ilaj ki
mujhe is ka koi ilaj hi nahin mil raha

mile karwan ye bahut hi dur ki baat hai
abhi karwan ka mizaj hi nahin mil raha

abhi phir raha hun main aap-apni talash mein
abhi mujh se mera mizaj hi nahin mil raha