اردو हिंदी
Mujhe yaqin dila haalat-e-guman se nikal | Shaahi Shayari
mujhe yaqin dila haalat-e-guman se nikal

Ghazal

Mujhe yaqin dila haalat-e-guman se nikal

Jeem Jazil

;

mujhe yaqin dila haalat-e-guman se nikal
gham-e-hayat ko baDhte hue ziyan se nikal

phir is ke baad jahan tu kahe guzarunga
bas ek bar zara karb-e-jism-o-jaan se nikal

main ain apne hadaf par lagunga, shart laga
zara sa khinch mujhe aur phir kaman se nikal

main apne jism ke andar na dafn ho jaun
mujhe wajud ke girte hue makan se nikal

main ek shoala-e-badmast hi sahi lekin
main jal raha hun mujhe mere darmiyan se nikal

ai Daliyon pe nae phal ugane wali dua
mere shajar ko bhi is haalat-e-KHizan se nikal

bula rahi hai tujhe bhi hawas ki shahzadi
tu apne aap ko is lamha-e-rawan se nikal

jise bahisht mein aadam ne chakh liya tha 'atib'
main kha raha hun wahi phal, mujhe yahan se nikal