mujhe wo chhoD kar jab se gaya hai intiha hai
rag-o-pai mein faza-e-karbala hai intiha hai
mere haalat hain naraaz is pe kya karun main
gurezan aasmanon se dua hai intiha hai
gham o aalam hain ya hasraten hain zindagi mein
tumhaare baad baqi kya bacha hai intiha hai
faqat tum hi nahin naraaz mujh se jaan-e-jaanan
mere andar ka insan tak KHafa hai intiha hai
kahin manzar asalib-e-hawas ke chaar-su hain
kahin pe KHun-aluda faza hai intiha hai
KHamoshi toD de ai KHaliq-e-arz-o-sama ab
teri maKHluq ban baiThi KHuda hai intiha hai
ghazal jo tum pe 'tahir' ne likhi thi jaan-e-'tahir'
wahi to zinat-e-baam-e-baqa hai intiha hai
Ghazal
Mujhe wo chhoD kar jab se gaya hai intiha hai
Tahir Adeem