اردو हिंदी
Mujhe utni hi qadr-e-zindagani hoti jati hai | Shaahi Shayari
mujhe utni hi qadr-e-zindagani hoti jati hai

Ghazal

Mujhe utni hi qadr-e-zindagani hoti jati hai

Sharib Lakhnavi

;

mujhe utni hi qadr-e-zindagani hoti jati hai
kisi ki jitni mujh par mehrbani hoti jati hai

KHuda malum ye kaisa zamana aata jata hai
ki har har sans ab to imtihani hoti jati hai

mohabbat karne wala su-e-manzil baDhta jata hai
jo mushkil aati jati hai wo pani hoti jati hai

jidhar jao musibat hai jidhar dekho musibat hai
musibat ab to juzw-e-zindagani hoti jati hai

KHuda ka shukr dil rah-e-wafa mein miTta jata hai
jo fani chiz hai wo jawedani hoti jati hai

hum apna daur-e-mazi bhulte jate hain ai 'shaarib'
qayamat hai haqiqat bhi kahani hoti jati hai