mujhe to ishq mein ab aish-o-gham barabar hai
ba-rang-e-saya wajud-o-adam barabar hai
na kuchh hai aish se baalidgi na gham se gudaz
hamare kaam mein sab nosh o sam barabar hai
chala hai qafila par hum se na-tawanon ko
hazar gam se ab ek qadam barabar hai
ba-chashm-e-mardum-e-raushan-zamir gar puchho
to qadr-e-jam-e-mai o jam-e-jam barabar hai
KHizan ke roz jo dekha to andalibon ko
safir-e-bum se ab zer-o-bam barabar hai
bahut shagufta hain gulshan mein garche lala-o-gul
tumhaare chehre se par koi kam barabar hai
ye rind de gae luqma tujhe to uzr na man
tera to shaiKH tanur o shikam barabar hai
wo mast-e-naz-o-ada jis ko roz wade ke
shikast-e-jam o shikast-e-qasam barabar hai
'baqa' jo bar na de hum ko apni mahfil mein
to marg o zindagi apni baham barabar hai
Ghazal
Mujhe to ishq mein ab aish-o-gham barabar hai
Baqaullah u0027Baqau0027